vādī-e-kun se ġham-e-marhala-paimā niklā
merī kashtī ko liye vaqt kā dariyā niklā
pā-e-idrāk meñ chubhtā huā kāñTā niklā
ishq ke daam meñ ḳhud apnā sarāpā niklā
mehnat-e-ahl-e-vafā aa hī ga.ī kaam āḳhir
har shigāf-e-ġham-e-hastī se saverā niklā
aql ko naaz thā had-bandi-e-ḳhair-o-shar par
dil ne jāñchā to har ik kaam adhūrā niklā
us se milne kī fazā saaf nahīñ thī koī
har guzargāh pe ehsās kā pahrā niklā
tishnagī maiñ ne bujhā lī ye hunar thā varna
ḳhizr kā dil bhī rah-e-umr meñ pyāsā niklā
ḳhvāb dekhā thā kahāñ chamkī hai ta.abīr kahāñ
hashr kā din mirī fitrat kā ujālā niklā
maut kī had meñ bhī mujh ko na diyā izn-e-qayām
saḳht mushkil tirī nazroñ kā taqāzā niklā
mauja-e-nik.hat-e-gesū jise samjhā maiñ ne
vo bhī mere nafas-e-sard kā jhoñkā niklā
maiñ tahī-dast huuñ bāzār-e-vafā meñ 'kausar'
sikka sikka zar-e-ummīd kā khoTā niklā