Kausar Jayasi

zaKHm hi zaKHm hain dil par kabhi aisa to na tha

Kausar Jayasi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1916
zaḳhm hī zaḳhm haiñ dil par kabhī aisā to na thā
karam-e-yār kā nashtar kabhī aisā to na thā
phuul jo mujh ko diye ban ga.e vo añgāre
vaqt ayyār-o-sitamgar kabhī aisā to na thā
bastiyāñ raaz kī ashkoñ meñ bahī jaatī haiñ
maujzan ġham kā samundar kabhī aisā to na thā
aaj dast-e-talab uTThe to qalam ho jaa.e
daur-e-mahrūmī-e-sāġhar kabhī aisā to na thā
aane vaale nahīñ jab vo to ye raunaq kaisī
aaj jaisā hai mirā ghar kabhī aisā to na thā
chhin ga.ī ho na tajallī kahīñ dīvāroñ se
shor maiḳhāne ke bāhar kabhī aisā to na thā
paañv rakkhā thā jahāñ sarv meñ ḳham hai ab tak
jāda-e-ishq meñ patthar kabhī aisā to na thā
Top Urdushayar.com