taḳhlīq ke parde meñ sitam TuuT rahe haiñ
aazar hī ke hāthoñ se sanam TuuT rahe haiñ
Dhaa.ī kahīñ jaatī hai jo ta.amīr-e-mohabbat
mahsūs ye hotā hai ki ham TuuT rahe haiñ
suljhe na masā.il ġham o aflās ke lekin
tafsīr-e-masā.il meñ qalam TuuT rahe haiñ
be-faiz guzar jaate haiñ gulshan se hamāre
mausam ke bhī ab qaul-o-qasam TuuT rahe haiñ
raqqās-e-shabistān-e-havas tujh ko ḳhabar hai
ā.īne tire zer-e-qadam TuuT rahe haiñ
raat aur javāñ ho to ujālā ho fazā meñ
palkoñ se sitāre abhī kam TuuT rahe haiñ
bedār hue jaate haiñ ījād ke sho.ale
har lahza tilismāt-e-adam TuuT rahe haiñ
allāh-re kashish us nigah-e-zohd-shikan kī
markaz se ġhazālān-e-haram TuuT rahe haiñ
allāh ke hote mujhe kyuuñ fikr ho 'kausar'
bandoñ ke jo ā.īn-e-karam TuuT rahe haiñ