kuchh is tarah se terā ġham diye jalātā thā
ki ḳhāk-e-dil kā har ik zarra jagmagātā thā
isī liye na kiyā talḳhī-e-jahāñ kā galā
tirā ḳhayāl pas-e-parda muskurātā thā
na yaad rakhtā thā mujh ko na bhuul jaatā thā
kabhī kabhī vo mujhe yuuñ bhī āzmātā thā
har aa.ina thā sarāpā hijāb mere liye
maiñ apne aap ko dekhūñ nazar vo aatā thā
nazar churā ke vo guzrā qarīb se lekin
nazar bachā ke mujhe dekhtā bhī jaatā thā
ġhazal ke lahje meñ hotī thī guftugū us se
vazāhatoñ meñ bhī ib.hām rah hī jaatā thā
vahāñ bhī sāya-e-dīvār us kā yaad rahā
ḳhud apnā saaya jahāñ saath chhoḌ jaatā thā
udaas kamra mahaktā thā kis kī yādoñ se
vo kaun shaḳhs thā kyā thā kahāñ se aatā thā
chamakte the dar-o-dīvār ā.inoñ kī tarah
in ā.inoñ meñ koī aks muskurātā thā
ye ḳhvāb hī mirī tanhā.iyoñ kā hāsil thā
ye ḳhvāb hī mirī tanhā.iyāñ baḌhātā thā