chaman chaman kahīñ aañsū ghuTā ghuTā kahīñ aah
banā rahā hai na.ī kā.enāt ishq-e-tabāh
na hosh bā-ḳhabar is se na be-ḳhudī āgāh
maiñ kis se pūchhūñ tire shahr-e-iltifāt kī raah
bas ek maut kī had tak pahuñch sakī hai nigāh
kahāñ milī abhī dariyā-e-sānehāt kī thaah
bahār-e-mashriq-e-dil inqalāb-e-mausam-e-ġham
kisī kā ek tabassum kisī kī ek nigāh
ye aarzū ke sitāre ye intizār ke phuul
chamak rahī haiñ ḳhatā.eñ mahak rahe haiñ gunāh