kho kar tirī galī meñ dil-e-be-ḳhabar ko maiñ
fikr-e-ḳhudī se chhūT gayā umr bhar ko maiñ
sāzish ba-qadr-e-rabt thī tuur o jamāl meñ
samjhā huuñ aaj uqda-e-sañg-e-sharar ko maiñ
ab hai to mustaqil ho faroġh-e-shab-e-visāl
aisā na ho charāġh jalā.ūñ sahar ko maiñ
sahrā se baar baar vatan kaun jā.egā
kyuuñ ai junūñ yahīñ na uThā lā.ūñ ghar ko maiñ
jhūmā kyā surūr se 'sīmāb' raat bhar
dekhā kiyā kisī kī nashīlī nazar ko maiñ