jo mere tañgnā-e-dil meñ tujh ko jalva-gar dekhā
mirī nazroñ ne hairat se mujhī ko umr bhar dekhā
tasavvur kī hadoñ meñ bhī samānā jin kā mushkil thā
nazar vāloñ ne un jalvoñ ko tā-hadd-e-nazar dekhā
sab apne dil meñ ik tīr-e-nazar mahsūs karte haiñ
magar koī batā saktā nahīñ us ne kidhar dekhā
ta.ayyun bar-taraf maqsūd mujh ko sajda karnā thā
na ham ne rahguzar dekhī na ham ne sañg-e-dar dekhā
nazar aatā na thā jo gard-e-afkār-o-havādis meñ
vo sāhil aañkh ne tūfān-e-ġham meñ Duub kar dekhā
tumhāre sañg-e-dar ko sañg-e-dar maiñ kis tarah samjhūñ
ki jab sajda kiyā sar ko jabīn-e-arsh par dekhā
ajab manzil thī ai 'sīmāb' apnī manzil-e-hastī
na mauqa.a thā Thaharne kā na yārā-e-safar dekhā