jahān-e-rañg-o-bū meñ mustaqil taḳhlīq-e-mastī hai
chaman meñ raat bhar bantī hai aur din bhar barastī hai
nigāh-e-ishq o chashm-e-husn do sāvan ke bādal hai
ye jab milte haiñ dil par ek bijlī sī barastī hai
agar hai zindagī manzūr be-soche fanā ho jā
mazāq-e-āshiqī meñ nīstī kā naam hastī hai
yakāyak phir charāġh ummīd ke hone lage raushan
ye sub.h-e-roz-e-mahshar hai ki shām-e-sub.h-e-hastī hai
ḳhudā se hukm-e-tansīḳh-e-ajal māñgeñge mahshar meñ
magar 'sīmāb' ye to qissa-e-mā-bād-e-hastī hai