Seemab Akbarabadi

subu par jam par shishe pe paimane pe kya guzri

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
subū par jaam par shīshe pe paimāne pe kyā guzrī
na jaane maiñ ne tauba kī to mai-ḳhāne pe kyā guzrī
mileñ to fā.izān-e-manzil-e-maqsūd se pūchhūñ
guzargāh-e-mohabbat se guzar jaane pe kyā guzrī
kisī ko mere kāshāne se hamdardī nahīñ shāyad
har ik ye pūchhtā hai mere kāshāne pe kyā guzrī
na ho jo zindagī anjām vo vijdān-e-nāqis hai
huzūr-e-shamm'a bād-e-vajd parvāne pe kyā guzrī
batā.eñ barhaman aur shaiḳh un kī ḳhāna-jañgī meñ
ḳhudā-ḳhāne pe kyā biitī sanam-ḳhāne pe kyā guzrī
tū apne hī ma.āl-e-soz-e-ġham par ġhaur kar pahle
tujhe is se nahīñ kuchh bahas parvāne pe kyā guzrī
kisī hikmat se kar de koī goyā marne vāloñ ko
ye raaz ab tak hai sar-basta ki mar jaane pe kyā guzrī
tirī har sū tajallī aur merī har taraf nazreñ
tujhe to yaad hogā ā.īna-ḳhāne pe kyā guzrī
zabāñ muñh meñ hai arz-e-hāl kar tū ne to dekhā hai
ki ḳhū-e-zabt-o-ḳhāmoshī se parvāne pe kyā guzrī
vo kahtā thā ḳhudā jaane bahār aa.e to kyā guzre
ḳhudā jaane bahār aa.ī to dīvāne pe kyā guzrī
ye hai 'sīmāb' ik nā-gufta ba-afsāna kyā kahiye
vatan se kunj-e-ġhurbat meñ chale aane pe kyā guzrī
Top Urdushayar.com