Seemab Akbarabadi

taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
taqdīr meñ izāfa-e-soz-e-vafā huā
dil meñ jo tum ne aag lagā dī to kyā huā
kahte haiñ jis ko maut hai ik be-ḳhudī kī niiñd
us ko fanā kahāñ hai jo tujh par fanā huā
ai ḳhādimān-e-husn ye kyā intizām hai
ab tak charāġh-e-tūr paḌā hai bujhā huā
hastī o nīstī kī hadeñ duur rah ga.iiñ
ye aa gayā kahāñ maiñ tujhe DhūñDhtā huā
muñh se duā nikal hī ga.ī vaqt-e-qatl bhī
kahnā ye thā ki haqq-e-mohabbat adā huā
bahs-e-niyāz-o-nāz thī kal bazm-e-husn meñ
'sīmāb' kuchh ḳhabar nahīñ kyā faisla huā
Top Urdushayar.com