nāhaq shikāyat-e-ġham-e-duniyā kare koī
ġham hai baḌī ḳhushī jo gavārā kare koī
rag rag meñ dil kī jazb hai mahshar-e-umīd
andāza-e-hujūm-e-tamanna kare koī
hai un ke āstāñ pe hujūm-e-ġhurūr-o-nāz
gunjā.ish-e-jabīñ ho to sajda kare koī
yūsuf ġhayūr fitrat-e-yūsuf ġhayūr-e-tar
kyā e'tibār-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā kare koī
har shaḳhs hai ḳharāb-e-tamannā ba-qadr-e-zauq
'sīmāb' kis se arz-e-tamannā kare koī