Seemab Akbarabadi

murattab ho ke ek mahshar ghubar-e-dil se niklega

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
murattab ho ke ik mahshar ġhubār-e-dil se niklegā
nayā ik kārvāñ gard-e-rah-e-manzil se niklegā
hamāre muñh se aur shikva tumhārā ho nahīñ saktā
tumhārā naam bhī shāyad baḌī mushkil se niklegā
na hogā gosha-e-dāman mirā vābasta-e-manzil
na jab tak haath terā parda-e-manzil se niklegā
mirī āñkheñ haiñ bazm-e-rañg-o-bū meñ muntazir terī
nahīñ ma.alūm tū kab tak hijāb-e-dil se niklegā
maiñ apne dil ko yuuñ pesh-e-nazar 'sīmāb' rakhtā huuñ
ki merā chāñd jab niklā isī manzil se niklegā
Top Urdushayar.com