sukūñ-pazīr junūn-e-shabāb ho na sakā
shaguft-e-mausam-e-gul kāmyāb ho na sakā
uḌaa.e barq o gul-o-lāla ne bahut ḳhāke
magar koī mire dil kā javāb ho na sakā
vahāñ ham ārzū-e-ḳhvāb-e-aish kyā karte
jahāñ qayām ba-miqdār-e-ḳhvāb ho na sakā
badal ga.iiñ vo nigāheñ ye hādsa thā aḳhīr
phir is ke ba.ad koī inqalāb ho na sakā
vahāñ payām kī gunjā.isheñ kahāñ 'sīmāb'
jahāñ salām mirā mustajāb ho na sakā