dil kī bisāt kyā thī nigāh-e-jamāl meñ
ik ā.īna thā TuuT gayā dekh-bhāl meñ
duniyā kare talāsh nayā jām-e-jam koī
us kī jagah nahīñ mire jām-e-sifāl meñ
āzurda is qadar huuñ sarāb-e-ḳhayāl se
jī chāhtā hai tum bhī na aao ḳhayāl meñ
duniyā hai ḳhvāb hāsil-e-duniyā ḳhayāl hai
insān ḳhvāb dekh rahā hai ḳhayāl meñ
ahl-e-chaman hameñ na asīroñ kā ta.an deñ
vo ḳhush haiñ apne haal meñ aham apnī chaal meñ
'sīmāb' ijtihād hai husn-e-talab mirā
tarmīm chāhtā huuñ mazāq-e-jamāl meñ