Seemab Akbarabadi

kamal-e-ilm o tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
kamāl-e-ilm o tahqīq-e-mukammal kā ye hāsil hai
tirā idrāk mushkil thā tirā idrāk mushkil hai
ye vīrānī tasavvur kī vo rañgīnī ḳhayāloñ kī
kabhī mahfil meñ ḳhalvat hai kabhī ḳhalvat meñ mahfil hai
vo ā.īna ho yā ho phuul taara ho ki paimāna
kahīñ jo kuchh bhī TuuTā maiñ yahī samjhā mirā dil hai
ujālā ho to DhūñDūñ dil bhī parvānoñ kī lāshoñ meñ
mirī barbādiyoñ ko intizār-e-sub.h-e-mahfil hai
vo dil le kar hameñ be-dil na samjheñ un se kah denā
jo haiñ maare hue nazroñ ke un kī har nazar dil hai
vo ai 'sīmāb' kyuuñ sargashta-e-tasnīm-o-jannat ho
mayassar jis ko sair-e-tāj hai jamunā kā sāhil hai
Top Urdushayar.com