ba-qaid-e-vaqt ye muzhda sunā rahā hai koī
ki inqalāb ke parde meñ aa rahā hai koī
ḳhudī ko rāh-e-ḳhudā.ī pe lā rahā hai koī
abhī dimāġh-e-bashar aazmā rahā hai koī
jahāñ ḳharāba-e-hastī miTā rahā hai koī
vahīñ kahīñ na.ī duniyā banā rahā hai koī
abhī naqāb-kushā.ī-e-husn hai dushvār
vahī uThe hue parde uThā rahā hai koī
jo zehn meñ hai vo tasvīr ban nahīñ chuktī
banā banā ke hayūle miTā rahā hai koī
bhulā rahā hai kisī ko tū bar-binā-e-ma.āl
ye ġhaur kar ki bhulāyā bhī jā rahā hai koī
dil-e-fasurda kī bātoñ pe ye tabassum-e-nāz
kalī ko phuul banānā sikhā rahā hai koī
vafā kī daad hai kotāhī-e-vafā kī dalīl
maiñ jāntā huuñ ki himmat baḌhā rahā hai koī
hadīs-e-kohna hai rūdād-e-inqilāb-e-chaman
sunī huī sī kahānī sunā rahā hai koī
mirī vafāoñ kā hai e'tirāf mere ba.ad
ḳhoshā-nasīb mujhe kho ke pā rahā hai koī
hai apne saa.e se vahshat meñ kis qadar taskīñ
samajh rahā huuñ mire saath aa rahā hai koī
nasīb-e-zauq ho 'sīmāb' qismat-e-mūsā
hameñ bhī tuur kī jānib bulā rahā hai koī