Seemab Akbarabadi

gham mujhe hasrat mujhe wahshat mujhe sauda mujhe

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
ġham mujhe hasrat mujhe vahshat mujhe saudā mujhe
ek dil de kar ḳhudā ne de diyā kyā kyā mujhe
hai husūl-e-ārzū kā raaz tark-e-ārzū
maiñ ne duniyā chhoḌ dī to mil ga.ī duniyā mujhe
ye namāz-e-ishq hai kaisā adab kis kā adab
apne pā-e-nāz par karne bhī de sajda mujhe
kah ke soyā huuñ ye apne iztirāb-e-shauq se
jab vo aa.eñ qabr par fauran jagā denā mujhe
sub.h tak kyā kyā tirī ummīd ne ta.ane diye
aa gayā thā shām-e-ġham ik niiñd kā jhokā mujhe
dekhte hī dekhte duniyā se maiñ uTh jā.ūñgā
dekhtī kī dekhtī rah jā.egī duniyā mujhe
jalva-gar hai is meñ ai 'sīmāb' ik duniyā-e-husn
jām-e-jam se hai ziyāda dil kā ā.īna mujhe
Top Urdushayar.com