Seemab Akbarabadi

jo insan baryab-e-parda-e-asrar ho jae

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
jo insāñ bāryāb-e-parda-e-asrār ho jaa.e
to is bātil-kade meñ zindagī dushvār ho jaa.e
ye duniyā-e-vafā duniyā-e-be-āzār ho jaa.e
mujhī par kyuuñ na takmīl-e-jafā-e-yār ho jaa.e
jo zulmat meñ bhī tanvīr-e-haqīqat dekhnā chāhe
vo merī tarah pichhlī raat se bedār ho jaa.e
ġhurūr-e-husn bhī mere liye juzv-e-adā dā.ere
mirā ehsās bhī tere liye pindār ho jaa.e
ġham-e-pinhāñ se dam ghuTtā hai ai 'sīmāb' kyā kahiye
ḳhudā aisā kare ye qābil-e-iz.hār ho jaa.e
Top Urdushayar.com