rasman hī un ko nāla-e-dil kī ḳhabar to ho
ya.anī asar na ho to fareb-e-asar to ho
ham bhī tumhārī bazm meñ haiñ dar-ḳhur-e-karam
achchhā vo mustaqil na sahī ik nazar to ho
kyā farz hai ki ham na hoñ taqdīr-āzmā
duniyā paḌī huī hai dar-e-yār par to ho
sab kah rahe haiñ ham pe girāñ hai shab-e-firāq
is kā bhī kuchh ilaaj kareñge sahar to ho
'sīmāb' aadhī raat ko aa.eñ vo be-qarār
terī duā-e-nīm-shabī meñ asar to ho