zabt se nā-āshnā ham sabr se begāna ham
kyuuñ kisī se māñgte jaa.eñ charāġh-e-ḳhāna ham
ḳhud hī sāz-e-be-ḳhudi ko chheḌ dete haiñ kabhī
ḳhud hī sunte haiñ hadīs-e-saġhar-o-paimana ham
daf.atan sāz-e-do-ālam be-sadā ho jā.egā
kahte kahte ruk ga.e jis din tirā afsāna ham
sham-e-aivān-e-haram ho yā charāġh-e-tāq-e-dair
ham ko donoñ se ta.alluq hai ki haiñ parvāna ham
dil jalā phir ḳhud jale phir saarī duniyā jal uThī
soz laa.e the ba-miqdār-e-par-e-parvāna ham
jab hameñ dīvāna banñā hai to kaisī maslahat
maslahat ko bhī banā leñge tirā dīvāna ham
bas-ki hai 'sīmāb' be-mehrī yagānoñ kā shi.ār
haiñ rahīn-e-iltifāt-e-ḳhātir-e-begāna ham