Seemab Akbarabadi

anjam har ek shai ka ba-juz KHak nahin hai

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
anjām har ik shai kā ba-juz ḳhaak nahīñ hai
kyā hai jo ye aalam ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ hai
kah do vo satā kar mujhe be-fikr na baiTheñ
mere hī liye gardish-e-aflāk nahīñ hai
āñkhoñ se har ik parda-e-mauhūm haTā de
itnī nigah-e-shauq abhī chālāk nahīñ hai
kar chāk-e-garebāñ se na andāza-e-vahshat
dīvāne abhī dāman-e-dil chaak nahīñ hai
'sīmāb' duā kījiye kyā sabr-o-sukūñ kī
shā.ista-e-taskīñ dil-e-ġhamnāk nahīñ hai
Top Urdushayar.com