Seemab Akbarabadi

hum hain sar-ta-ba-pa tamanna

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
ham haiñ sar-tā-ba-pā tamannā
kaisī ummīd kyā tamannā
ho kitnī hī ḳhush-gavār phir bhī
hai dil ke liye balā tamannā
dete ho payām-e-ārzū tum
jab tark maiñ kar chukā tamannā
duniyā ko fareb de rahī hai
jalva hai sarāb kā tamannā
apnī manzil pe ham na pahuñche
jab tak rahī rahnumā tamannā
mābain-e-nigāh-o-jalva-e-husn
hai ek hijāb sā tamannā
uljhā rahā aarzū meñ ġhāfil
kyuuñ ḳhud hī na ban gayā tamannā
āvāz to do kise pukārūñ
tum ho mire dil meñ yā tamannā
'sīmāb' ma.āl-e-shauq mālūm
am-lil-insān-e-mā-tamannā
Top Urdushayar.com