Seemab Akbarabadi

aankh se Tapka jo aansu wo sitara ho gaya

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
aañkh se Tapkā jo aañsū vo sitārā ho gayā
merā dāman aaj dāmān-e-surayyā ho gayā
us ke jī meñ kyā ye aa.ī ye use kyā ho gayā
ḳhud chhupā aalam se aur ḳhud ālam-ārā ho gayā
banda-e-ma.anī kahāñ sūrat kā bandā ho gayā
sochtā huuñ mujh ko kyā honā thā maiñ kyā ho gayā
phir tasavvur ne baḌhā dī nāla-e-mauzūñ kī lai
phir savād-e-fikr se ik sher paidā ho gayā
ab kahāñ māyūsiyoñ meñ jhalkiyāñ ummīd kī
vo bhī kyā din the ki terā ġham gavārā ho gayā
jaan de dī maiñ ne tañg aa kar vufūr-e-dard se
aaj manshā-e-jafā-e-dost puurā ho gayā
barhaman kahtā thā barham shaiḳh bol uThā ahad
harf ke ik pher se donoñ meñ jhagḌā ho gayā
vahdat o kasrat ke jalve ḳhilqat-e-insāñ meñ dekh
ek zarra is qadar phailā ki duniyā ho gayā
barbariyat kī jahāñ meñ garm-bāzārī huī
ādmiyat kī ragoñ meñ ḳhuun ThanDā ho gayā
āshiyāñ banñe na paayā thā ki bijlī gir paḌī
baaġh abhī basne na paayā thā ki sahrā ho gayā
aa gayā sailāb bālīñ tak vufūr-e-girya se
rahm kar yā rab ki paanī sar se ūñchā ho gayā
ittifāq-e-vaqt thā apnā faroġh-e-āshiyāñ
jab koī jugnū chamak uTThā ujālā ho gayā
dil khiñchā jitnā qafas meñ āshiyāne kī taraf
duur itnā hī qafas se āshiyānā ho gayā
ham musāfir the hamārā mustaqar koī na thā
raat jab aa.ī jahāñ aa.ī baserā ho gayā
ho ga.e ruḳhsat 'ra.īs' o 'ālī' o 'vāsif' 'nisār'
rafta rafta āgara 'sīmāb' suunā ho gayā
Top Urdushayar.com