zindān-e-kā.enāt meñ mahsūr kar diyā
mahfil se apnī tum ne bahut duur kar diyā
aate ho dene dāvat-e-dār-o-rasan hameñ
jab ham ne tark-e-sheva-e-mansūr kar diyā
fitrat yahī azal se hai barq-e-jamāl kī
us ne jise tabāh kiyā tuur kar diyā
tum ne hamāre zarf-e-nazar par na kī nigāh
saare jahāñ ko husn se ma.amūr kar diyā
'sīmāb' koī martaba mansūr kā na thā
lafz-e-ḳhudī kī sharh na mash.hūr kar diyā