shām-e-furqat intihā-e-gardish-e-ayyām hai
jitnī sub.heñ ho chukī haiñ aaj sab kī shaam hai
kū-e-jānāñ dekh kar jannat se yuuñ māyūs huuñ
pūchhtā phirtā huuñ kyā jannat isī kā naam hai
is tarah duniyā hai ik ma.amūra-e-nāz-o-niyāz
zarre zarre par mirā sajda tumhārā naam hai
allāh allāh ye taġhāful aur is par ye ġhurūr
kyā mujhe nākām kar denā bhī koī kaam hai
haañ nahīñ 'sīmāb' mujh ko apnī hastī par ġhurūr
jāntā huuñ maiñ mirī duniyā fanā-anjām hai