vo jab rañg-e-pareshānī ko ḳhalvat-gīr dekheñge
to apne har tasavvur meñ mirī tasvīr dekheñge
sunā hai husn ko dah-chand kar detā hai ye shīsha
lagā kar apne dil meñ aap kī tasvīr dekheñge
vafā kā tazkira kyā ab to ye irshād hai un kā
ki tum naala karo ham garmī-e-tāsīr dekheñge
shikasta har kaḌī hai har kaḌī meñ dil ke TukḌe haiñ
baḌī ibrat se dīvāne mirī zanjīr dekheñge
ḳhayāl-e-hashar o fikr-e-nashr ai 'sīmāb' lā-hāsil
ki hai taqdīr meñ jo kuchh bahar-taqdīr dekheñge