Seemab Akbarabadi

jab tak gham-e-ulfat ka unsur na mila hoga

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
jab tak ġham-e-ulfat kā unsur na milā hogā
insān ke pahlū meñ dil ban na sakā hogā
maiñ aur tirā saudā tū aur ye istiġhnā
shāyad mujhe fitrat ne majbūr kiyā hogā
ik dā.era zarroñ kā ḳhurshīd-e-tarīqat thā
shāyad vo tumhārā hī naqsh-e-kaf-e-pā hogā
tum dard ke ḳhāliq ho maiñ dard kā banda huuñ
jab naam liyā hogā dil thaam liyā hogā
'sīmāb' jab is dil meñ tasvīr nahīñ un kī
ye ā.īna dhundlā hai ye ā.īna kyā hogā
Top Urdushayar.com