Seemab Akbarabadi

wusaten mahdud hain idrak-e-insan ke liye

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
vus.ateñ mahdūd haiñ idrāk-e-insāñ ke liye
varna har zarra hai duniyā chashm-e-irfāñ ke liye
ai ḳhizāñ tū shauq ke saarā chaman barbād kar
chand phāñseñ chhoḌ jā merī rag-e-jāñ ke liye
duur pahuñchīñ shohrateñ raftār sehr-āsār kī
khul ga.e raste tire husn-e-ḳharāmāñ ke liye
phuul gulshan ke nahīñ to ḳhāk-e-sahrā hī sahī
kuchh na kuchh to chāhiye taskīn-e-dāmāñ ke liye
is liye detā dil tum ko ki lo aur bhuul jaao
maiñ ne ik tasvīr dī hai tāq-e-nisyāñ ke liye
dhajjiyāñ uḌne ko ai 'sīmāb' vus.at chāhiye
hai koī maidān āshob-e-garebāñ ke liye
Top Urdushayar.com