Seemab Akbarabadi

ab kya bataun main tere milne se kya mila

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
ab kyā batā.ūñ maiñ tire milne se kyā milā
irfān-e-ġham huā mujhe apnā patā milā
jab duur tak na koī faqīr-āshnā milā
terā niyāz-mand tire dar se jā milā
manzil milī murād milī mudda.ā milā
sab kuchh mujhe milā jo tirā naqsh-e-pā milā
ḳhud-bīn-o-ḳhud-shanās milā ḳhud-numā milā
insāñ ke bhes meñ mujhe aksar ḳhudā milā
sargashta-e-jamāl kī hairāniyāñ na pūchh
har zarre ke hijāb meñ ik aa.ina milā
paayā tujhe hudūd-e-ta.ayyun se māvarā
manzil se kuchh nikal ke tirā rāsta milā
kyuuñ ye ḳhudā ke DhūñDne vaale haiñ nā-murād
guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā
ye ek hī to ne.amat-e-insāñ-navāz thī
dil mujh ko mill gayā to ḳhudā.ī ko kyā milā
yā zaḳhm-e-dil ko chhīl ke siine se pheñk de
yā e'tirāf kar ki nishān-e-vafā milā
'sīmāb' ko shagufta na dekhā tamām umr
kam-baḳht jab milā hameñ ġham-āshnā milā
Top Urdushayar.com