jaag aur dekh zarā ālam-e-vīrāñ merā
sub.h ke bhes meñ niklā hai garebāñ merā
fitrat-ārā-e-junūñ hai tan-e-uryāñ merā
merī be-chārgiyāñ haiñ sar-o-sāmāñ merā
ġhalba-e-yās bajā shiddat-e-hirmāñ taslīm
maiñ samajhtā huuñ ki marnā nahīñ āsāñ merā
toḌ kaliyāñ magar ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman
arz ye hai ki nasheman na ho uryāñ merā
tumheñ kyuuñ madd-e-nazar ab hai ḳharābī us kī
tum to kahte the ki ghar hai dil-e-insāñ merā
thā ye faiz-e-nigah-e-lutf-o-karam ai 'sīmāb'
ho gayā harf-e-ġhalat daftar-e-isyānñ merā