Seemab Akbarabadi

jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
jo sālik hai to apne nafs kā irfān paidā kar
haqīqat terī kyā hai pahle ye pahchān paidā kar
jahāñ jaane ko sab dushvār hī dushvār kahte haiñ
vahāñ jaane kā koī rāsta āsān paidā kar
haqīqat kā kahe jo haal kar aisī zabāñ paidā
mohabbat ke suneñ jo giit aise kaan paidā kar
hudūd-e-ālam-e-takvīñ meñ sab mumkin hī mumkin hai
tū nā-mumkin ke jhagḌe meñ na paḌā imkān paidā kar
ilāhī bhed tere us ne zāhir kar diye sab par
kahā thā kis ne tū 'sīmāb' ko insān paidā kar
Top Urdushayar.com