Seemab Akbarabadi

ab ai be-dard kya is ke liye irshad hota hai

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
ab ai be-dard kyā is ke liye irshād hotā hai
phir apnī ḳhaak se paidā dil-e-barbād hotā hai
tasavvur jab anīs-e-ḳhātir-e-nāshād hotā hai
jahān-e-dil tirī tasvīr se ābād hotā hai
asīrān-e-vafā ghabrā.eñ kyuuñ tajvīz-e-zindāñ se
yahīñ to imtihān-e-fitrat-e-āzād hotā hai
jagah miltī nahīñ jis ko shab-e-ġham mahshar-e-dil meñ
vo hañgāma lab-e-ḳhāmosh meñ ābād hotā hai
bahār aa.ī hai istiqbāl karne bāb-e-zindāñ tak
nahīñ ma.alūm 'sīmāb' aaj kaun āzād hotā hai
Top Urdushayar.com