ba-qadr-e-shauq iqrār-e-vafā kyā
hamāre shauq kī hai intihā kyā
duā dil se jo nikle kārgar ho
yahāñ dil hī nahīñ dil se duā kyā
jo kahte haiñ ab is meñ kuchh nahīñ hai
koī un se ye pūchhe mujh meñ thā kyā
na us par iḳhtiyār apnā na is par
sar-e-āġhāz o fikr-e-intihā kiyā
salāmat dāman-e-ummīd 'sīmāb'
mohabbat meñ kisī kā aasrā kyā