aa ki hastī be-lab-o-be-gosh hai tere baġhair
kā.enāt ik mahshar-e-ḳhāmosh hai tere baġhair
aa ki phir dil meñ nahīñ uThtī koī mauj-e-nashāt
sard paanī bāda-e-sar-josh hai tere baġhair
niiñd aa aa kar uchaT jaatī hai terī yaad meñ
tār-e-bistar nashtar-e-āġhosh hai tere baġhair
jalva-e-har-roz jo har sub.h kī qismat meñ thā
ab vo ik dhundlā sā ḳhvāb-e-dosh hai tere baġhair
zindagī tujh se ibārat thī magar jab tū nahīñ
zindagī kā apnī kis ko hosh hai tere baġhair
aa ki mauzū-e-ġhazal ko DhūñDhtī hai har nigāh
naġhma-e-mutrib balā-e-gosh hai tere baġhair
kyā ḳhabar 'sīmāb' kab ghabrā ke de de apnī jaan
zabt go ab tak tahammul-kosh hai tere baġhair