jis jagah jam.a tire ḳhāk-nashīñ hote haiñ
ġhāliban sab meñ numūdār hamīñ hote haiñ
dard-e-sar un ke liye kyuuñ hai mirā ijz-o-niyāz
mere sajdoñ se vo kyuuñ chīñ-ba-jabīñ hote haiñ
un kī mahfil se tasavvur kā ta.alluq hai hameñ
aañkh kar lete haiñ jab band vahīñ hote haiñ
tere jalvoñ ne mujhe gher liyā hai ai dost
ab to tanhā.ī ke lamhe bhī hasīñ hote haiñ
etikāf in dinoñ hai farz sunā hai 'sīmāb'
ramazāñ aa ga.e mai-ḳhāna-nashīñ hote haiñ