roz-e-firāq har taraf ik intishār thā
maiñ be-qarār thā to jahāñ be-qarār thā
naqsh-e-tilism merā dil-e-dāġh-dār thā
thā din ko phuul raat ko sham-e-mazār thā
yādash-ba-ḳhair yaad haiñ dil kī musībateñ
pahlū meñ ik sitam-zada-e-rozgār thā
allāh re shām-e-ġham mire dil kī shikastagī
tāroñ kā TūTnā bhī mujhe nāgavār thā
vahshat-tarāz thī kashish-e-shām-e-be-kasī
marqad se apne duur charāġh-e-mazār thā
kyā dete ham kisī ko duā-e-salāmtī
apnī hī zindagī kā kise e'tibār thā
'sīmāb' naala kar ke pashemāniyāñ fuzūl
vo kaam kyuuñ kiyā jo unheñ nāgavār thā