chamak jugnū kī barq-e-be-amāñ ma.alūm hotī hai
qafas meñ rah ke qadr-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
kahānī merī rūdād-e-jahāñ ma.alūm hotī hai
jo suntā hai usī kī dāstāñ ma.alūm hotī hai
sahar tak sa.ī-e-nāla rā.egāñ ma.alūm hotī hai
ye duniyā to ba-qadr-e-yak-fuġhāñ ma.alūm hotī hai
kisī ke dil meñ gunjā.ish nahīñ vo bār-e-hastī hoñ
lahad ko bhī mirī miTTī girāñ ma.alūm hotī hai
ḳhizāñ ke vaqt bhī ḳhāmosh rahtī hai fazā saarī
chaman kī pattī pattī rāz-dāñ ma.alūm hotī hai
havā-e-shauq kī quvvat vahāñ le aa.ī hai mujh ko
jahāñ manzil bhī gard-e-kārvāñ ma.alūm hotī hai
taraqqī par hai roz-afzūñ ḳhalish dard-e-mohabbat kī
jahāñ mahsūs hotī thī vahāñ ma.alūm hotī hai
qafas kī tīliyoñ meñ jaane kyā tarkīb rakkhī hai
ki har bijlī qarīb-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
na kyuuñ 'sīmāb' mujh ko qadr ho vīrāni-e-dil kī
ye buniyād-e-nashāt-e-do-jahāñ ma.alūm hotī hai