Seemab Akbarabadi

shayad jagah nasib ho us gul ke haar mein

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
shāyad jagah nasīb ho us gul ke haar meñ
maiñ phuul ban ke ā.ūñgā ab kī bahār meñ
kafnā.e bāġhbāñ mujhe phūloñ ke haar meñ
kuchh to burā ho dil mirā ab kī bahār meñ
guñdhvā ke dil ko laa.e haiñ phūloñ ke haar meñ
ye haar un ko nazr kareñge bahār meñ
nichlā rahā na soz-e-darūñ intizār meñ
is aag ne surañg lagā dī mazār meñ
ḳhalvat ḳhayāl-e-yār se hai intizār meñ
aa.eñ farishte le ke ijāzat mazār meñ
ham ko to jāgnā hai tire intizār meñ
aa.ī ho jis ko niiñd vo so.e mazār meñ
maiñ dil kī qadr kyuuñ na karūñ hijr-e-yār meñ
un kī sī shoḳhiyāñ haiñ isī be-qarār meñ
'sīmāb' be-taḌap sī taḌap hijr-e-yār meñ
kyā bijliyāñ bharī haiñ dil-e-be-qarār meñ
thī tāb-e-husn shoḳhī-e-tasvīr-e-yār meñ
bijlī chamak ga.ī nazar-e-be-qarār meñ
bādal kī ye garaj nahīñ abr-e-bahār meñ
barrā rahā hai koī sharābī ḳhumār meñ
umr-e-darāz maañg ke laa.ī thī chaar din
do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ
tanhā mire satāne ko rah jaa.e kyuuñ zamīñ
ai āsmān tū bhī utar aa mazār meñ
ḳhud husn nā-ḳhudā-e-mohabbat ḳhudā-e-dil
kyā kyā liye haiñ maiñ ne tire naam pyaar meñ
mujh ko miTā ga.ī ravish-e-sharmgīñ tirī
meñ jazb ho gayā nigah-e-sharmsār meñ
allāh-re shām-e-ġham mirī be-iḳhtiyāriyāñ
ik dil hai paas vo bhī nahīñ iḳhtiyār meñ
ai ashk-e-garm maañd na paḌ jaa.e raushnī
phir tel ho chukā hai dil-e-dāġh-dār meñ
ye mo.ajiza hai vahshat-e-uryāñ-pasand kā
maiñ kū-e-yār meñ huuñ kafan hai mazār meñ
ai dard dil ko chheḌ ke phir baar baar chheḌ
hai chheḌ kā mazā ḳhalish-e-bār-bār meñ
ifrāt-e-ma.asiyat se fazīlat milī mujhe
maiñ huuñ gunāhgāroñ kī pahlī qatār meñ
Dartā huuñ ye taḌap ke lahad ko ulaT na de
hāthoñ se dil dabā.e hue huuñ mazār meñ
tum ne to haath jaur-o-sitam se uThā liyā
ab kyā mazā rahā sitam-e-rozgār meñ
kyā jaane rahmatoñ ne liyā kis tarah hisāb
do chaar bhī gunāh na nikle shumār meñ
o parda-dār ab to nikal aa ki hashr hai
duniyā khaḌī huī hai tire intizār meñ
roī hai saarī raat añdhere meñ be-kasī
aañsū bhare hue haiñ charāġh-e-mazār meñ
'sīmāb' phuul ugeñ lahad-e-andalīb se
itnī to zindagī ho havā-e-bahār meñ
Top Urdushayar.com