Seemab Akbarabadi

na wo fariyaad ka matlab na mansha-e-fughan samjhe

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
na vo fariyād kā matlab na manshā-e-fuġhāñ samjhe
ham aaj apnī shab-e-ġham kī ġhalat-sāmāniyāñ samjhe
baḌī mushkil se un kā rāz-e-ulfat ho sakā pinhāñ
baḌī muddat meñ jā kar ham mizāj-e-rāz-dāñ samjhe
ab aayā hai to baiThe chāra-gar ḳhāmosh bālīñ par
mirī be-chainiyāñ dekhe mirī be-tābiyāñ samjhe
payām-e-shādmānī kyā samajh kar de koī us ko
jo tere ġham ko takmīl-e-nishāt-e-do-jahāñ samjhe
maiñ is duniyā meñ ai 'sīmāb' ik rāz-e-haqīqat thā
samajhne kī tarah ahl-e-jahāñ mujh ko kahāñ samjhe
Top Urdushayar.com