Mushfiq Khwaja

kyun KHalwat-e-gham mein rahte ho kyun gosha-nashin bekar hue

Mushfiq Khwaja

Lahore, Punjab, Pakistan

1935-2005
kyuuñ ḳhalvat-e-ġham meñ rahte ho kyuuñ gosha-nashīñ bekār hue
āḳhir tumheñ sadma kyā pahuñchā kyā soch ke ḳhud-āzār hue
kyuuñ saaf kushāda rastoñ par tum Thokareñ khāte phirte ho
kyuuñ tīra-o-tār sī galiyoñ meñ tum aan ke ḳhush-raftār hue
kyuuñ rāsta chhoḌ ke chalte ho kyuuñ logoñ se katrāte ho
kyuuñ chalte phirte apne liye tum aap hī ik dīvār hue
kyā uThte baiThte sochte ho kyā likhte paḌhte rahte ho
is umr meñ ye be-kaifī kyuuñ kis vāste nek-atvār hue
kyuuñ aise safar par nikle ho manzil nahīñ jis kī koī bhī
kyuuñ raah pe aisī chalte ho saa.e bhī jahāñ dīvār hue
kyuuñ tark-e-alā.iq ko tum ne samjhā hai ilāj-e-ġham āḳhir
dekho to valī suufī bhī yahāñ kis ThaaT ke duniyā-dār hue
māyūsī-e-paiham se tum ne yārāna ye kaisā gāñThā hai
andoh-o-alam the jitne bhī āḳhir vo gale kā haar hue
is kalba-e-ahzāñ se hargiz ubhregā na sūraj koī bhī
kab ḳhaak sitāra-bār huī kab saa.e sahar-āsār hue
kab sub.h ke naale kaam aa.e kyā girya-e-nīm-shabī se milā
is qarya-e-ḳhvāb-e-faroshāñ meñ tum kis ke liye bedār hue
bekār ulajhte rahte ho kyuuñ ulTī sīdhī bātoñ meñ
ye marhale vasl-o-hijrañ ke ab aise bhī kyuuñ dushvār hue
us kūche kī raah to samjhāo jis kūche meñ jaanā mushkil hai
us shaḳhs kā naam to batlāo tum jis ke liye bīmār hue
mushfiq ne ye bāteñ sun ke kahā bāteñ na huiiñ ash.ār hue
ye dard baTāne vaale bhī kis shaan ke ḳhush-guftār hue
sad-shukr ki ḳhush-uslūbī se takmīl ko pahuñchī rusvā.ī
muhtāj-e-duā the jo ḳhud hī āḳhir vo mire ġham-ḳhvār hue
Top Urdushayar.com