Seemab Akbarabadi

KHatm is tarah naza-e-haq-o-baatil ho jae

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
ḳhatm is tarah nazā-e-haq-o-bātil ho jaa.e
ik taraf donoñ jahāñ ek taraf dil ho jaa.e
dil meñ vo shorish-e-jazbāt vo garmī na rahī
ab ye shāyad nigah-e-dost ke qābil ho jaa.e
jāntā huuñ ki vafā jī se guzarnā hai magar
yuuñ na de ta.an ki jiinā mujhe mushkil ho jaa.e
do-jahāñ tark-e-mohabbat meñ kiye tere liye
aur bezār jo tujh se bhī mirā dil ho jaa.e
qadr-e-insāñ hai abhī bazm-e-adam meñ 'sīmāb'
kyuuñ vo duniyā meñ rahe jo kisī qābil ho jaa.e
Top Urdushayar.com