dil tere taġhāful se ḳhabar-dār na ho jaa.e
ye fitna kahīñ ḳhvāb se bedār na ho jaa.e
muddat se yahī parda yahī parda-darī hai
ho koī to parde se numūdār na ho jaa.e
mujh se mirā afsāna-e-māzī na suno tum
afsāna nayā phir koī tayyār na ho jaa.e
ai mastī-e-ulfat sabaq-e-kufr diye jā
jab tak mujhe har chiiz se inkār na ho jaa.e
honā hai jo hastī ko mirī ḳhaak hī 'sīmāb'
pahle hī se kyuuñ ḳhāk-e-dar-e-yār na ho jaa.e