aao phir garmī dayār-e-ishq meñ paidā kareñ
tuur kī miTTī se taḳhlīq-e-yad-e-baizā kareñ
husn meñ ho ishq kī bū ishq meñ ho rañg-e-husn
phir murattab rang-o-bū-e-nau se ik duniyā kareñ
jitne naġhme ho chuke haiñ gum fazā-e-dahr meñ
un ko phir āvāz deñ ik saaz meñ yakjā kareñ
mil chuke haiñ ḳhaak meñ jo TuuT kar phūloñ ke jaam
un ko dast-e-shaḳh meñ phir sāġhar-o-mīnā kareñ
zindagī do din kī us par ye jahāñ-ījādiyāñ
ehtimām itnā kareñ 'sīmāb' aur phir kyā kareñ