Seemab Akbarabadi

chhupata hun magar chhupta nahin dard-e-nihan phir bhi

Seemab Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1880-1951
chhupātā huuñ magar chhuptā nahīñ dard-e-nihāñ phir bhī
nigāh-e-yās ho jaatī hai dil kī tarjumāñ phir bhī
ġham-e-vāmāñdgī se be-niyāz-e-hosh baiThā huuñ
chalī aatī hai āvāz-e-darā-e-kārvāñ phir bhī
hijāb-andar-hijāb amvāj-e-tūfān-e-tajallī haiñ
faroġh-e-sham.a se parvāna hai ātish-ba-jāñ phir bhī
ishāroñ se nigāhoñ se bahut kuchh man.a kartā huuñ
qafas hī par jhukī paḌtī hai shāḳh-e-āshiyāñ phir bhī
bahut dilchasp hai 'sīmāb' shām-e-vādī-e-ġhurbat
vatan kī sub.h meñ kuchh aur thiiñ rañgīniyāñ phir bhī
Top Urdushayar.com