jaras hai kārvān-e-ahl-e-ālam meñ fuġhāñ merī
jagā detī hai duniyā ko sadā-e-al-amāñ merī
tasavvur meñ vo kuchh barham se haiñ kuchh mehrbāñ se haiñ
unheñ shāyad sunā.ī jā rahī hai dāstāñ merī
har ik zarra hai sahrā aur har sahrā hai ik duniyā
magar is vus.at-e-ālam meñ gunjā.ish kahāñ merī
mirī hairat pe vo tanqīd kī taklīf karte haiñ
jinheñ ye bhī nahīñ ma.alūm nazreñ haiñ kahāñ merī
musalsal thā fareb-e-ḳhvāb-gāh-e-ālam-e-fānī
magar sotā rahā chaltī rahī umr-e-ravāñ merī
vahī lamha varūd-e-nā-gahāñ kā un ke ho shāyad
jatā kar aa.e jab bhī aa.e marg-e-nā-gahāñ merī
mazāq-e-ham-zabānī ko na tarsūñ bāġh-e-jannat meñ
koī 'sīmāb' hūroñ ko sikhā detā zabāñ merī