ye daur-e-taraqqī hai rif.at kā zamāna hai
zarroñ ko uThānā hai tāroñ se milānā hai
āġhosh-e-tasavvur hai aur naqsh-e-jamīl un kā
duurī hai na majbūrī aanā hai na jaanā hai
nairañg-e-mohabbat hai har raaz mire dil kā
chup huuñ to haqīqat hai kah duuñ to fasānā hai
armān-e-tajallī kā kotāh bhī kar qissa
ai dost tujhe āḳhir ik din nazar aanā hai
kyā sho.abada-sāmāñ hai 'sīmāb' zamāna bhī
har shaḳhs samajhtā hai merā hī zamāna hai