dikhā.ī de na kabhī ye to mumkināt meñ hai
vo sab vajūd meñ hai jo tasavvurāt meñ hai
maiñ jis hunar se huuñ poshīda apnī ġhazloñ meñ
usī tarah vo chhupā saarī kā.enāt meñ hai
ki jaise jism kī rag rag meñ dauḌtā hai lahū
isī tarah vo ravāñ arsa-e-hayāt meñ hai
ki jaise sañg ke siine meñ koī but hai nihāñ
usī tarah koī sūrat taḳhaiyyulāt meñ hai
ki jaise vaqt guzarne kā kuchh na ho ehsās
usī tarah vo sharīk-e-safar hayāt meñ hai
ki jaise bū-e-vafā ḳhud-supurdagī meñ mile
usī tarah kī mahak us kī iltifāt meñ hai
ki jaise jhuuT ka.ī jhuuT ke sahāre le
usī tarah vo pareshāñ takallufāt meñ hai
gunāh bhī koī jaise kare Dare bhī bahut
usī tarah kī jhijhak us kī baat baat meñ hai
bas ab to ishq hai hijr-o-visāl kuchh bhī nahīñ
ye TukḌā ziist kā din meñ hai aur na raat meñ hai
nazar ke zāviye badle hai aur kuchh bhī nahīñ
vahī hai ka.abe meñ jo 'nūr' somnāth meñ hai