sukūt baḌhne lagā hai sadā zarūrī hai
ki jaise habs meñ taaza havā zarūrī hai
phir is ke ba.ad har ik faisla sar āñkhoñ par
magar gavāh kā sach bolnā zarūrī hai
bahut qarīb se kuchh bhī na dekh pāoge
ki dekhne ke liye fāsla zarūrī hai
tum apne baare meñ mujh se bhī pūchh sakte ho
ye tum se kis ne kahā aa.ina zarūrī hai
gurez-pā.ī ke mausam ajiib hote haiñ
safar meñ koī mizāj-āshnā zarūrī hai
havāla maañg rahā hai mirī mohabbat kā
jo 'fauz' mujh se ye kahtā thā kyā zarūrī hai