dil-e-nādāñ koī mahshar na uThānā is vaqt
aa rahā hai mirī bātoñ meñ zamānā is vaqt
karb-e-tanhā.ī kī tāvīl to mushkil hai bahut
kaise chup-chāp huā aap kā aanā is vaqt
rasm-e-tajdīd-e-marāsim bhī zarūrī hai magar
yaad aayā hai mujhe vaqt purānā is vaqt
ye ghaḌī koī farāmosh nahīñ kar saktā
merī āñkhoñ meñ hai ik ḳhvāb suhānā is vaqt
aa rahā hai koī phir dām-e-nazar meñ 'ja.afar'
aise manzar se nigāheñ na haTānā is vaqt