Jafar Shirazi

pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar

Jafar Shirazi

pata milā hai vo thā merā ham-safar bahut der ba.ad jā kar
kahāñ kahāñ se milī hai mujh ko ḳhabar bahut der ba.ad jā kar
maiñ muddatoñ saqf-e-zindagī par khaḌe khaḌe tum ko dekh aayā
ye tum bhī kyā ho ki aa.e mujh ko nazar bahut der ba.ad jā kar
mirī tamannā hai ab ke tum phir milo to jī bhar ke muskurā.eñ
ki dekhnā hai ye raushnī kā safar bahut der ba.ad jā kar
mujhe batāo maiñ kyuuñ na is uThtī dhuul ke saath baiTh jā.ūñ
mujhe ḳhabar hai vo aa.egā baam par bahut der ba.ad jā kar
ḳharāb mausam meñ har shajar se larazte pattoñ ne kyā kahā thā
ki phuul aane lage haiñ ab shāḳh par bahut der ba.ad jā kar
qayāmatoñ kī tarah guzāreñge ye mah-o-sāl hijratoñ ke
tamām hogā judā.iyoñ kā safar bahut der ba.ad jā kar
mirī ġhazal meñ jab aa.e 'ja.afar' nazar unheñ ma.arke hunar ke
hue mire mo'tarif sab ahl-e-nazar bahut der ba.ad jā kar
Top Urdushayar.com